Yeh teri aur meri adhuri kahani hai…..

Yeh teri meri adhuri kahani hai

 

Agar ho jaa tu ruswa toh na kar fiqr,

Tujhe manane ki aadat jo lagani hai,

Tu mil ja mujhe kisi mod par,

Tujhe paane ki aas bahut purani hai.

 

Tu milegi is baat par hai yakin ,magar,

Yeh teri aur meri adhuri kahani hai.

 

Jo tu hui agar aankho se ojhal toh na dar,

Jo tu hui agar aankho se ojhal toh na dar,

Teri ashkon se hi toh pyas bujhani hai

Ke chal chale kisi samandar kinare,

Ke chal chale kisi samandar kinare

Aa baith, tujhe ek kahaani aur sunani hai.

 

Tu milegi is baat par hai yakeen, magar,

Yeh teri aur meri adhuri kahani hai.

 

Tere badan ke har kone ko tarashu , apne hoto se,

Tere badan ke har kone ko tarashu, apne hoto se,

Kya betaab ,kya beebaak apni yeh jawani hai,

Ke har zarra zarra dhundta raha main tujhe ,

Ke har zarra zarra dhundta raha main tujhe ,

Mujhse se hi chupne mein tu badi sayani hai

 

Tu milegi is baat par hai yakeen ,magar,

Yeh teri aur meri adhuri kahani hai

 

 

Ab toh mera dil bhi badnaam hai tere naam se,

Ab toh mera dil bhi badnaam hai tere naam se,

Yeh baat saare zamane se kya chupani hai ,

Is mehfil mein sirf tu hi toh hai jo hokar bhi nahi,

Is mehfil mein sirf tu hi toh hai jo hokar bhi nahi,

Phir yeh shama ab kisliye bujhaani hai.

 

Tu milegi is baat par hai yakeen, magar,

Yeh teri aur meri adhuri kahani hai.

About the author

Akbar Dhamani

i am an open book, you may read as you wish to write.

Your email address will not be published. Required fields are marked *

You may use these HTML tags and attributes: <a href="" title=""> <abbr title=""> <acronym title=""> <b> <blockquote cite=""> <cite> <code> <del datetime=""> <em> <i> <q cite=""> <s> <strike> <strong>

Copyright © 2018. Created by Raunak Suchak.