Iltejah itni si hai

Iltejah (request) itni si hai ki, tere dil Mein mera istakbal(welcome) ho jaye,
Ki teri mehek(aroma) aane se mere maikhane(intoxicating place) behaal ho jaye….

Yu jo hasti ho, hasati ho, bewaqt Yaad Aati ho,
Aisa Na ho ki mere sare kaam, nakaam ho jaye,
Jab tum sunati ho woh kahaniya Bachpan ki,
Lagta hai raat se subhah, aur subhah se shyam ho jaye.

Aarzoo bhi thak gayi hai arziya karte karte,
Tumhe paakar meri rooh bhi, ab arshiya(heavenly) ho jaye,
Aasman bhi sawar gaya tere deedar se,
Khuda bhi kahe Jaa, teri manmarziya(wish to come true) ho jaye..

Tu hi toh mere mukkamal Ishq(the last love) ki daastan hai,
Zindagi ke panne(pages) palate palate, kahi akhri raat (the last night) na ho jaaye,
Badalte mausamo se zara kaho ki tham (stay) jaye,
Kahi sard (winters) raaton Mein, bemausam barsaat na ho jaye

Muddato ke Baad sambhala hai khudko,
Chalo isi Baat par, ek jaam(toast) aur ho jaye,
Har rang se likhi hai sirat(nature / persona) teri,
Aaj ezhar-e-ishq(propose), sar-e-aam (publically) ho jaye….

Akbar dhamani

About the author

Akbar Dhamani

i am an open book, you may read as you wish to write.

Your email address will not be published. Required fields are marked *

You may use these HTML tags and attributes: <a href="" title=""> <abbr title=""> <acronym title=""> <b> <blockquote cite=""> <cite> <code> <del datetime=""> <em> <i> <q cite=""> <s> <strike> <strong>

Copyright © 2018. Created by Raunak Suchak.