Dosti
“DOSTI”
” Dard ki dawa hai dosti,
hasi ki panaah hai dosti,
yaaro ke saath kabhi ek shaam,
to kabhi saari zindagi bitaana hai dosti.
Dil se dil ka rishta hai dosti,
apno se bhi badakar naata hai dosti,
jaha hoto se na ho jo baat woh,
khamoshi se jataana hai dosti.
Rutho ko manaana hai dosti,
gamo mein hasaana hai dosti,
kisike kayi saalo ka toh,
kisike ek pal ka fasaana hai dosti.
Bhuli bhirsi yaaden savaarna hai dosti,
bin mile saalo tak yaad aana hai dosti
chaahe badle manzil sabki,
har pal saath nibhaana hai dosti.
-AKBAR DHAMANI
Beautifully written…so nice Akbar!!!
Thank you.