Chandni hai raato ki….
Chandni hai raton ki, raat mein woh aati nahi,
Woh rehti hai mere khwabo mein, aur khwabo se jaati nahi
Dhundli si hai nazar toh dhundli hai ab yaadein.
Dhundli si tarveero se karta hu ab raat bhar baatein
Dhundla gayi hai ab toh teri dua bhi ae khuda,
bas ek woh hi hai jo aankho se dhundlati nahi
chandni hai raato ki. par raato mein aati nahi
Bheed mein bhi tanha rehkar dhundta hu humsafar kabhi,
Ab toh Hazaro ke mazaaro mein bhi hai nazaaro ki kami,
Aaj bhi sochta hu kyu har mod par ho kar main khada,
Dekhta hu jaha bhi, woh kahi dikhlati nahi
Chandni hai raato ki par raato mein aati nahi
Karta hu umeed uske lautne ki har subhah ki tarah
Raat bhar yahi soch kar neend aati nahi
Tut gaye hai ab saare rishte naate dhaage ki tarah
Bas uski ek yaad hai jo ab dil se jaati nahi
Chandni hai raato ki par raato mein aati nahi…
Who rehti hai meri khwabo mein aur khwabo se jaati nahi…
-akbar
No comments yet.
Add your comment